Zaroori To Nahi

Wo aaye the jaise koi bahar banke,
Wo gaye to dil ke hajar tukde hue..
Wo paas the  to jaise koi alam mai bahar tha.
Wo dur hain to bas  ek ujda hua baagh hai..

Wo kehte the is safar ke wo humsafar hain.
Fir kiyun darmian main yiun haath chod die..

Mujhe unse muhabbathai.
Wo vi mujhse muhabbat karen, ye zaroori to nahi.

Mera dil unki yadon me duba hua hai.
Wo bhi mujhe yaad Karen, ye zaroori to nahi.

Unki baaton se behel jana,
Tanhai me bethe  kabhi muskurana.
Or unke intezar me unka raah taakte rehna .
Ye interzar kabhi khatam ho, ye zaroori to nahi.

Unki aankon me sab nazar ata hai.
Mere lie bhi chamak dikhjae, ye zaroori to nahi..

Mai unhe pane ki  khwahish karkhta hun zarur.
Magar wo mujhe miljae, ye zaroori to nahi..

Comments

Popular Posts